मंगलवार, 13 दिसंबर 2011

sahas.....,

kab tak ham kuchle jayenge,
pairon tale raunde jayenge,
kab tak ham jinda rah kar bhi,
jinda na rah
payenge?

Jan hamari jati aise
gajar muli kat rahe ho,
madira bana kar madiralai mein,
jaise hamko bant rahe ho,

kya mere apne prano
par,
raha nahi mera adhikar?
Ya mithya jag ki kroor shakti ko,
main bhi kar lu
sweekar?

Sahne ki sima main bhula,
nahi tanik apradh sahunga,
jo bhi dushman ban aayega
main uska sanhaar
karunga,

sah sah k hamne to kasto,
ki prata chalayi barso se,
aake dekh lo meri chamta,
dahla dunga ankho
se,.........

2 टिप्‍पणियां: