मंगलवार, 13 दिसंबर 2011

sahas.....,

kab tak ham kuchle jayenge,
pairon tale raunde jayenge,
kab tak ham jinda rah kar bhi,
jinda na rah
payenge?

Jan hamari jati aise
gajar muli kat rahe ho,
madira bana kar madiralai mein,
jaise hamko bant rahe ho,

kya mere apne prano
par,
raha nahi mera adhikar?
Ya mithya jag ki kroor shakti ko,
main bhi kar lu
sweekar?

Sahne ki sima main bhula,
nahi tanik apradh sahunga,
jo bhi dushman ban aayega
main uska sanhaar
karunga,

sah sah k hamne to kasto,
ki prata chalayi barso se,
aake dekh lo meri chamta,
dahla dunga ankho
se,.........
tumhe sochte hi kyon
ajab ehsaas hota hai,
duriyan toh bahut hain
par tu paas hota hai,

hamesa sochta tumko
magar kuch kami hi rahti hai,
khwab me jo jhalak mil jaye,
aankho mein nami rahti hai,

wo bite hue pal yad aate hain
jane kyon hamko satate hain
hazaro din ho gaye phir bhi
milne ki aas mein jagte hain..........

andheraa.........

kahne ko toh ujala hai
par dikhta kuch bhi nahi
kyonki ankhe kuch dekhna nahi chahti,
ek aisa nazara
dekh liya maine
ki kuch dekhna hi nahi chahta
bas samet lena chahta hu
us pyare se lamhe ko...

tanha hua main

kaisi jindgi hai
har kadam par
dhoka hai
han maine ise
chukar dekha hai
kal tak jise meri
jarurat thi;
aj mere liye wo
ajnabi hai
jiski sanse mere liye thi,
wo kisi aur ki sans ban chuka hai
han main hu
tanha yaha
chala jata hu
apne dhun me
jane kaha kaha
bhatakte hue....