गुरुवार, 21 जुलाई 2011

nayan thake se kyon lagte hain
palak jhuke se kyon rahte hain
hanste hue bhi jane kyon
ham rote se kyon lagte hain?

Jadwat hu chetanta bhooli
kaston ki har pal hai shooli
khoono se khelen kyon holi
deen heen hu bhar do jholi

khusiyaa koso door hogayi
shanti nahi milti hai kahi
arajakta ka kaisi kahani
aankho me phir aaya paani

kitne maa ne bete khoye
pagli si patni kyon roye
aansu se lashon ko dhoye
itne par bhi satta soye

kaisi vividhta aan padi hai
sashan ki deewar khadi hai
jindgi har pal choot rahi hai
satta maze loot rahi hai

pathrai aankho na kaha hai
gam sahna aasaan kaha hai
hamko kuck karne to do
satta men ye tab kaha hai


sanskriti apni sankat men hai
apni rakcha swayam karenge
atal sankalp ka sambal lekar
nav bharat nirmaan karenge.........

मंगलवार, 5 जुलाई 2011

kabhi kabhi yun hi
chalte chalte
rahon men
koi ajnabi mil jata hai
aur dhire dhire
kareeb aane lagta hai
na jante hue bhi
jud se jate hain ham
raste badhte rahte hain
dooriyaa simati rahti hain
phir ek duje se
judne lagte hain
par jab manzil paas
aa jati hai
aur bichadne lagte
toh tees si uthti hai
unhe baar baar dekhne
ko man karta hai
jab kismat se
mil jate hain
to pahchante nahi
kahte hain
ham aapke hain kaun?
kaise samjhaoo inhe
kuch riste bhagwan
banate hain
aur kuch insan
rishta sabka sabse
hota hai
kuch naam vale rishte hote hain
kuch gumnam
kyon wo samjhte nahi
ham unke hain kaun?

शनिवार, 2 जुलाई 2011

kuch loog jo apne hote hain
sayad wo sapne hote hain
unse kyon doori hoti hai
ye majboori kya hoti hai

dahadkan tadpan aur uljhan mae
tadapan kyon rah jati baki
har pal unse milne ko
man mae sajti hai kyon jhaki


yaade unki jab bhi aayen
aankhe nam ho jati hain
hath pakad k sang sang chalna
sab yaaden tadpati hain

smritiyon k kone m bhi
unki jhalak jo mil jaye
vyakulta me bhi man ko
param shanti mil jaye

yaadon k chote se kone mae
unki yaaden ankit hain
bahut vedna hai man mae
jo adhro par prativimbit hai

maine unko sab kuch mana
unko hi bhagwan jana
prabal prem kiya unse
tab unhe swayam mae hi jana

jab pag pag par badhayen thi
muh khole vipdayen thi
tab nauka k patvar bane
main nit nit shish jhukata unhe
vyakulta mae bhi tum ho
ye rahshya ab jan liya
tum uddharak ho jivan k
ab maine ye man liya