kuch loog jo apne hote hain
sayad wo sapne hote hain
unse kyon doori hoti hai
ye majboori kya hoti hai
dahadkan tadpan aur uljhan mae
tadapan kyon rah jati baki
har pal unse milne ko
man mae sajti hai kyon jhaki
yaade unki jab bhi aayen
aankhe nam ho jati hain
hath pakad k sang sang chalna
sab yaaden tadpati hain
smritiyon k kone m bhi
unki jhalak jo mil jaye
vyakulta me bhi man ko
param shanti mil jaye
yaadon k chote se kone mae
unki yaaden ankit hain
bahut vedna hai man mae
jo adhro par prativimbit hai
maine unko sab kuch mana
unko hi bhagwan jana
prabal prem kiya unse
tab unhe swayam mae hi jana
jab pag pag par badhayen thi
muh khole vipdayen thi
tab nauka k patvar bane
main nit nit shish jhukata unhe
vyakulta mae bhi tum ho
ye rahshya ab jan liya
tum uddharak ho jivan k
ab maine ye man liya
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें